Talaq Quran Ki Roshni Mein
Is baat ko kab samjho ge mere azeez dosto keh quran main teen alag alag hakoomatun ka wajood hi nahin hai. is liye keh khudaa aik hai, yani Allah, aur hakoomat sirf aur sirf Allah hi ki hai. yahee wajah hai islam main na koi haakim hai Allah ke siwaa na ho sakta hai chahye woh khudaa ka nabi hi kyun na ho. is baat ko tasleem karna keh insaanu par koi doosra insaan hakoomat kar sakta hai yahee to shirk hai quran ke sayaaqo sabaaq main. zor aawar logoon ne kamzor logoon par hakoomat qaaim ki hui hai, us main aik soorat malukiyat hai, doosri mullaiyat aur teesri sarmayadariyat.
jab Allah ki hakoomat hi yeh ummat tasleem nahin kar rehee to phir khudayee qanoon ke naam par masle masaail kis liye? kyunkeh qanoon us ka chalta hai jis ki hakoomat insaan tasleem karen.
aaj hukamraan tabqa siasi iqtadaar apne qabze main rakhe huwe hai, kia yeh bat sach nahin hai yaa aap ko nazar nahin aa raha? kia mullaiyat ne apne panje ummat main gaade huwe nahin hen ta keh duniya main khudaa hi ke naam par khudayee hakoomat ko qaaim hone se roka jaaye? kia sarmaayadari nizaam ummat ka istesaal nahin kar raha aik doosre ke haathun? aap ko nazar nahin aa raha keh mullahs ki is ko pusht panahi haasil hai?
Quran ko apni aqal istemaal kar ke padho takeh aap ko asal haqeeqat maloom ho aur is ka koi hal talaash kar sako. jo bimaari lagaane waale hen un ke paas aap bimaari ka ilaaj talaash karte phirte ho?
jab yeh haqeeqat maante ho keh islam main insaanu ki hakoomat ka taswaur hi nahin hai to phir ummat main insaanu ki khud par hakoomat tasleem kyun karte ho? jab yeh baat tasleem karte ho keh islam main mullaiyat ka tasawur hi nahin hai to phir har baat ke liye aise logoon ke paas kyun jaate ho jin ke paas khud aqal hi nahin hai aur unhune is ummat yani aap ka bera gharq kar ke rakh diya hai? jab yeh haqeeqat tasleem karte ho keh islam main ummat ke andar sarmayadari nizaam ka tasawur hi nahin hai to phir islam ke naam par tijaarat ko kyun tasleem karte ho jo istesaal ki asal wajah hai?
agar aap logoon ko itni moti moti baaten samajhne ki salahiyat bhi haasil nahin to phir quran ko kaise samjho ge? pehle taleem haasil karo keh maloomaaat haasil kaise ki jaayen hen phir is baat ki tajarbun se mahaarat haasil karo keh maalomaat ko samajhte kaise hen? is ke baad aap is qaabil hun ge keh quran main di gayee malumaat ko samajhne ki munaasib koshish kar saken.
Quran infaraadiyat nahin sikhaata balkeh maashre ki taleem deta hai aur jab maashre ki ehmiyat ki samajh aa jaaye us ke baad afraad ki munfarid hesiyat par baat karta hai. yani sab se pehle quran poori tasweer aap ke saamne rakhta hai phir us main juzyaat ko laata hai ta keh tamaam batun ka aapas main rabt yaa taaluq maloom ho sake.
yahee wajah hai aap ko quran ne aik program yaa manshoor diya hai aur kaha hai is ko aam karo taakeh logoon ko pata chale aapas main mil jul kar rehna hai. jab porgram ki tasheer ho jaaye to logoon ko maloom ho jaaye ga kaise munazzam hona hai aur kaise maashre ko jaari karna hai aur rawaan dawan rakhna hai.
nikah aur talaaq ka bhi usi sayaaqo sabaaq main bayaan hai yeh koi alag thalag cheezen nahin hen.
yeh baat aap logoon ko kab samajh aaye gi keh islami manshoor islami dastoor aur qawaneen ke bagher poora nahin ho sakta? aakhir hamaare nabi ne riyaasat kyun qaaim ki thi? kia un ko logoon par apni zaati hakoomat chalaane ka shoq tha? kia logoon ka mazhabi peshwaa banane ki hasrat thi? kia bahot bada taajir banane ki khawahish thi aap ko? agar aisa nahin tha aur yaqeenan nahin tha tophir us islam ke tasawur ko samajhne ki koshish karo jin main log aik doose ke bhai bhai hun, na keh siasi ghulam aur aaqa, yaa mazhabi ghulaam aur aaqa yaa phir maashi tor par ghulaam aur aaqa. in tasawuraat ko islam ne jad se ukhaad phenka tha.
hamaare nabi ko din raat issi baat ki fikar khaa gayee thi insaanu ko aapas main bhai bhai kaise banaaya jaaye. kaise in ke darmyaan khadi diwaaren girayee jayen. Jab Allah ne aap ko hadayaat deen to woh kia thin? yahee keh insaani maashre ko aap kaise sudhaar sakte ho. bas din raat aik kar ke is kaam ko anjaam diya aur aik azeemushaan khudayee riyaasat ki bunyaad rakhi aik namoone ke tor par duniya ko bataane ke liye keh khudayee hakoomat kaisi hoti hai. ta keh sab log miljul kar aik din khudayee hakoomat dunia bhar main qaaim kar saken.
ham ne duniya bhar main khudayee hakoomat kia qaaim karni thi jo woh ham ko batore namone banaa kar de gaye the us ka bhi satiyanaas kar diya. aaj ham apni kam aqali ki sazaa bhugat rehe hen aur bhugatate rehen ge jab tak ham khud aqal na seekhen ge yaa duniya ham ko thaphad aur ghoonse maar maar kar aqal sikhaa na de gi.
aap log duniya aur deen ko alag alag khaanu main liye bethe reho aur dekhate jaao aap ke saath kia kia hota hai aur kon kon aap ki yeh haalat karta aur karwaata hai.
bhai
nikah talaaq aik qanooni samjhota hen do logoon ke daryaan. aur har
samjhote ke liye gawah achhi baat hai ta keh baad main koi tanaaza na
pade aur agar pade to saboot ki roshni main faisla ho jaaye.
ab agar aap aqal ko dakhal den ge to maloom ho jaaye ga keh kisi bhi muaaide ko jodne yaa todne ke liye bas aik hi dafa iqraar yaa inkaar kaafi hai. Albata is baat ko sunane main kisi sunane waale ko ghalti na lage aik se ziyaada baar saaf saaf kehne main bhi muaida aik hi baar toote ga na ke baar baar toote ge. jis tarah do ashkhaas main shaadi nikaah baar baar padhne se bhi aik hi baar ho gi na keh baar baar.
aik baar jab nikaah toot gayaa to ab jab tak dono dobaara shadi ke bandhan main na banden nikaa doosri baar toot kaise sakta hai? jab aap muaaida doosri baar karen ge nahin to mansookh kaise ho ga?
ab agar aap aqal ko dakhal den ge to maloom ho jaaye ga keh kisi bhi muaaide ko jodne yaa todne ke liye bas aik hi dafa iqraar yaa inkaar kaafi hai. Albata is baat ko sunane main kisi sunane waale ko ghalti na lage aik se ziyaada baar saaf saaf kehne main bhi muaida aik hi baar toote ga na ke baar baar toote ge. jis tarah do ashkhaas main shaadi nikaah baar baar padhne se bhi aik hi baar ho gi na keh baar baar.
aik baar jab nikaah toot gayaa to ab jab tak dono dobaara shadi ke bandhan main na banden nikaa doosri baar toot kaise sakta hai? jab aap muaaida doosri baar karen ge nahin to mansookh kaise ho ga?
No comments:
Post a Comment