Bismi Allahi arrahmani arraheem
In the name of Allah, the most Gracious, the most Merciful
(Sunday) Itwar ka dinItwar ke dino ka pehla din hai. Hazrat Auns bin malik ra farmaty hain. Nabi (saw) se itwar ke din ke bary pocha gia tu ap ne farmaya. "Ye din bone aur amarat banay ka hai. Sahabah Karam ne pocha Ye kis tarah Ya Rasool Allah. Apne farmyaa is main Allah talah ne dunya aur is ke aamaratker ibtidah farmyi.
Is liy itwar ke din khyat bona aur darakhat lagana aur makan tameer krna bahis-e-barkat hai. Itwar Nasrranion ke eid ka din hai. Hazrat Essa (as) ne apni qoom ko jumma ke din eid manany ka hukam farmaya tu unhon ne kaha ham ye nai chahty hamri eid ke bad yahoodion ke eid ho kioun ke yahoodion ke eid hafta ke rzz hoti hai tu unhon ne itwar ko eid ka din banaya.
Itwar ke din ke nafal
Hazrat Abu hurayrah (ra) se riwayat hain Rasool Allah (saw) ne farmaya ju muslman itwar ke din 4 rakat namaz parhy aur is ke har rakat main Surah Fatihah Surah Al-Baqarah ke akhri ayat oarhay tu jis qadar nusrani mardoon aur aurtoon ke tadad hai in ke ginti ke muwafik us ko Allah tabaraq watallah naykian aata farmata hai aur us ko paghamber ka sawab be atta farmata hai aur hajj aur umrah ka sawab be us ke naam likh daita hai aur har rakat ke badlay 1000 namaz ka sawab be atta farmata hai.
Hazrat Ali (ra) se riwayat hai. Nabi (saw) Itwar ke din zada naffal parha karo. Ager koi itwar ke din namaz zohar ke bad jab suntain aur faraz parh chukay tu 4 rakat namaz nafal parhy.pehly rakat main Surah fatihah aur Alm Sajdah parhay, Dosri rakat mainSurah Fatihah aur Surah Mulk aur Tashad ke bad salam phayray. Is ke bad 2 rakat aur parhy dono rakton main Surah Fatihah aur Surah Jumah parhy. salam phairne ke bad ju hajat rakhta ho us ke pora hone ke dua mangay. Allah tallah apne karam se us ki hajat ko pora kar de ga aur har kisam ke musibat se aaman aata farmay ga.
Monday Somwaar ka Din
Somwar ka din boht mubarak din hai. is main safar per jana, tijarat krna bakrakt ka bahis hai. Hazrat Auns bin malik (ra) farmaty hain. Nabi (saw) ka irshad hai, Ye din safar aur tijarat ka din hai. Somwar ke din ke ahmieat ka pata in baton se chalta hai.
1: Hazrat Idrees (as) ne somwar ke roz asman ke taraf sawood farmaya aur janat main dakhil howay.
2: Hazrat Mossa Somwar ke din koh-e-toor per tashreef le gay.
3: Wahdaniyat Allah tallah ke daleel somwar ke roz nazzil hoi.
4: Nabi (saw) ke wiladat somwar ke din hoi.
5: Somwar ke din Hazrat Jibreel (as) pehli martba Nabi (saw) per wahi leay.
6: Umaat ke aamal somwar ke din Nabi (saw) per paish kiy jaty hain.
7: Somwar ke din Nabi (saw) ne dunya se zahiri perda farmaya.
8: Rasool Allah (saw) ne somwar ke din makah main hijrat farmayi aur ise roz Surah Al-Mahidah nazal hoi.
9: Somwar ke roz asman ke darwazay khol diy jaty hain aur gunahgar musalmanu ke maghfirat hoti hai.
Somwar ke din ke nafal
Hazrat Jabir (ra) se riwayat hai. Muhammad (saw) ne irshad farmaya. Somwar ke din jab suraj buland ho tu ju muslaman is waqat 2 rakat namaz pehhy aur har rakat main Surah Fatihah 1 martabh, Ayat-ul-kursi aik martabah, Surah ikhlas, Surah Falaq, Surah Naas, aik aik martabh parhay aur salam phairne ke bad 10 dafa Astighfar parhy aur 10 martabh Nabi (saw) per durood baijay tu Allah us ke tamam gunah maaf farma de ga.
Hazrat Anus (ra) se riwayat hai. Muhammad (saw) ne irshad farmaya. Somwar ke din ju muslaman 12 rakat namaz pehhy aur har rakat main Surah Fatihah 1 martabh, Ayat-ul-kursi aik martabah, parhay aur salam phairne ke bad 12 martab Surah Ikhlas parhy aur 12 martabh Asitghfar parhay tu qayamt ke din us musalman ko 1000 janati libass diy jain ge aue us ke ser per bazurghi ka taaj rakha jay ga aur janat main dakhil hone per aik lakh frishtay us ka istaqbal karin ge.
Hazrat Anus (ra) se riwayat hai. Nabi (saw) ka farman hai. Ju shaks somwar ke raat 4 rakat naffal parhay.
Pehil rakat main Surah Fatihah ke bad Surah Ikhlass 10 martbah parhy
Dosri rakat main Surah Fatihah ke bad Surah Ikhlass 20 martbah parhy
Tesri rakat main Surah Fatihah ke bad Surah Ikhlass 30 martbah parhy
Chothi rakat main Surah Fatihah ke bad Surah Ikhlass 40 martbah parhy
Pir Tashad perhne ke bad salam phairy aur Nabi (saw) per 75 martbah Durood parhy aur apni hajat Allah ke bargah main paish kary. Allah tallah apne fazal se us ke hajat ko pora farma de ga. Is namaz ka naam Namaz-e-hajat hai.
Hazrat Abu imama (ra) se riwayat hain. Rasool Allah (saw) ne farmaya ju muslman somwar ke raat 2 rakat namaz parhy. Phli rakat main Surah Fatihah ke bad, Surah Ikhlas 25 martbah pir dosri rakat main ise tarhah perhne ke bad salam phairy aur 15 martabh Ayat-ul-kursi parhy aur 15 martabh Astighfar parhy. Allah us ka naam jantion ke fahrist main likh de ga aur har ayat ke badlay hajj aur umrah ka sawab ata farmay ga. Ager muslam is somwar se le ke dosray somwar ke darmayan maar giya tu shaheedon main dakhil ho ga.
Mungal ka din
Mungal ka din youm-e-amraaz hai. Is roz Allah tallah ne bemarion ko paida kia. Mungal ke roz hi iblees ko zameen ke taraf utara gia. Ise roz dozakh ko paida kia aur moot ko bani adam per musalat kia. Mungal ke roz Qabeel ne Habeel ko qatal kia. Ise roz Hazrat Mosa aur Hazrat Haroon (as) ne wafat payi. Mungal k roz Hazrat Ayub (as) maraz main mubtila howay.
Mungal ka din khoon ka din hai.kioun ke khoon main josh hota hai. ise roz main aik saat aise hoti hai ager is main koi seengi lagway ya faasad karway tu khoon bund nai hota aur insan maar jata hai.
Mungal ke din ke nafal
Nabi (saw) ka farman hai ju mungal ke raat 12 rakat namaz parhay aur har rakat main Surah Fatihah ke bad Suran Nassar 5 martbah parhy tu Allah us ko janat main boht azeem ushan mahal aata farmay ga.
Hazrat Umer Farooq (ra) se riwayat hai. Rasool Allah (saw) ne irshad farmaya ju shaks mungal ke rat 2 rakat namaz parhy aur har rakat main Surah Fatihah ke bad Surah Qadar aur Surah Ikhlas 7, 7 bar parhay tu Allah us ko dozakh ke aag se azad farma de ga aur qayamat ko roz jannat main dakhil kary ga.
Budah ka din
Budh ka din kufar ke liy manhoos hai lykin muslmanu ke liy mubarak hai. Nabi (saw) ne irshad farmaya Allah tallah ne is din firon ko garak kiya aur aad wa samood ko halaq kia. Budh ke din ko yoom-e-noor farmaya gia hai aur budh ke din nakhoon tarashne se mana farmaya gia hai kioun ke is se baras ke bemari paida hone ka khatra hai.
Nabi (saw) ne irshad farmaya ju shaks Budhwar, Jumyraat aur Jumma ke din roza rakhy ga is ke liy janat main moti aur yaqoot se mahal tayar kia jay ga.
Budh ke din ke nafal
Muaz bin jabal (ra) se riwayat hai. Nabi (saw) ne farmaya ager koi shaks budh ke roz jab aftaab buland ho tu 12 rakat namaz aada kary. har rakat main Surah Fatihah ke bad Aytul kursi aik martbah, Surah Falaq, Surah Ikhlas, Surah Naas 3 martabh parhy tu is shaks ke tamam gunah maff kar diy jain ge.
Jumyrat ka din
Jumyrat ka din hafta barh main fazilat wala hai. Hadess pak main is ke rat ko roshan farmaya gia hai. Jumyrat ke roz bundon ke amal Allah tallah ke bargah main paish hoty hain. Ise rat janat ke darwazay kholy jaty hain aur har momin bunda ke maghfirat ke jati hai.
Imam Gazali (ra) farmaty hain. Hafa main 3 din boht fazal walay hain.wo Somwar, Jumyrat aur Jumah hain. In dino main roza rakhne ka bohat ajar-o-sawab hai.
Jumyrat ke din ke nafal
Hazrat Muhammad (saw) ka farman hai ju shaks Jumah ke rat ko maghrib aur esha ke darmayan 2 rakat namaz parhy aur har rakat main Surah Fatihah ke bad Ayat-ul-kursi 5 martbah, Surah Ikhlas 5 martbah, Surah Falaq Surah Naas 5 martbah parhy aur 15 bar Astighfar parhy aur apne maa baap ko bakhshay tu aisa krne se us ne apne ma baap ka haq ada kar dia.
Jumah mubarak ka din
Hazar Muhammad (saw) ne farmaya. Hazrat Adam (as) Jumah ke din paida kiy gay aur ise din janat main dakhil kiy gay aur ise din janat se utarne ka hukam howa. Qayamat b jumah ke din qayam ho ge. Jumah tamam dino ka sardar hai.
Jumah ke roz nikah krna barkat ko bahis hai. Nabi (saw) ne farmaya ye din Khutbah perhne aur nikah krne ka hai. 7 Inbiya ikam ne jumah ke roz nikah kiy.
1: Hazrat Adam (as) aur Amma Hawa (ra) ne
2: Hazrat yousuf (as) aur Hazrat Zulaykha (ra) ne
3: Hazrat Mosa (as) aur Hazrat Safurah (ra) ne
4: Hazrat Suleman (as) aur Malika Balqees (ra) ne
5: Muhammad (saw) aur Hazrat Khadijah (ra)
6: Muhmmad (saw) aur Hazrat Aisha (ra) ne
7: Hazrat Ali (ra) aur Hazrat Fatimah (ra) ne
Jumah ke nafal
1: Ager koi 4 rakat namaz parhay tu Allah us ke wastay 400 darjat janat main buland krta hai
2: Ager koi 8 rakat namaz parhy tu Allah us ke liy janat main 800 darjat buland karta hai aus ke sb gunah maaf farma daita hai.
3: Ager koi 12 rakat namaz ada kary tu Allah tallah is ko 2200 nakiyan aata farmata hai, itnay hi gunah maaf kar daita hai aur janat main itnay hi darjat buland kar daita hai.
4: Ju koi jumah ke din Asar ke namaz bajamat ada kary tu giya us ne Hazrat Ismaeel ke olad main se 8 ghulamo ko azad kia .
5: Ju koi Asar ke namaz bajamat ada krta hai tu Allah usy aik Haj aur umrah ka sawab ataa farmata hai.
Hazrat Muhammad (saw) ne farmaya ager koi muslaman jumah ke din zohar aur asar ke namaz ke darmyan 2 rakat namaz ada kary pehli rakat main Surah Fatihah ke bad, ayat-ul-kursi aik martbah, Surah Falaq 25 martbah, pir dosri rakat main Surah Fatihah ke bad Surah Ikhals aik martbah, Surah Naas 20 martbah parhy aur salam phairne ke bad ( LA HAWULA WALA QUWATA ILLAH BILLAHI ALLIYI AZEEM) 50 martbah parhy tu wo shaks marne se pehly apne raab ke ziyarat ka sharf hasil kar le ga aur janat main apni jagah ka thikana b daikh le ga.
Hafta ka din
Hafta ka din yahudion ke eid aur ibadat ka din hai. Hazrat Mosa (as) ne bani israeel ko hukam diya tha wo haftay hain aik aisa din mukarar karin jis din Allah tallah ke ibdat kia karin tu unhon ne hafta ka din ibadat ke liy pasand kia.
Hafta ke nafal
Hazrat Abu hurerah (ra) se riwayat hai ju shaks hafta ke din 4 rakat namaz ada kary us ko har harf ke badly aik sak ke dino ke badlay rozon aur sal ke ratoon ke qayam ka aajar inyat farmaya jata hai aur har harf ke badlay aik shaheed ka sawab ata farmata hau.
Hamzrat Muhammad (saw) ne farmaya ju koi hafta ke rat magrib aur esha ke darmayan 12 rakat nafal ada kary tu us ke liy janat main mahal tayar kiya jata hai.
No comments:
Post a Comment